Saturday, February 26, 2011

Visarjan

Dhadakte dil ko nangeen talwaar ke saamne nachaya
Muskurate hue thak jab gaya
Aayna bhi palat ke
Patli gali se kat liya
Hawa ke rukh ne mod pe aisa saath choda
Ulti ginti karte karte
Khoon ek kaali nadi
Ek marte gutter ke taraf badha
Raste mein ek keeda
Chalta phirta rengta
Dupki lagate dikha
Zakhm ka acchar jaisa bana
Chot bhi sala fat ke
Wah huzoor bol gaya
Aur doobte doobte
Ganpati Bappa
Margaya

No comments:

Post a Comment